Abul Ala Maududi(Roman Urdu)

Ayah by Ayah

Tags

Download Links

A translation of every ayah of the Quran in Urdu.

Abul Ala Maududi(Roman Urdu) translation for Surah Yusuf — Ayah 31

12:31
فَلَمَّا سَمِعَتۡ بِمَكۡرِهِنَّ أَرۡسَلَتۡ إِلَيۡهِنَّ وَأَعۡتَدَتۡ لَهُنَّ مُتَّكَـٔٗا وَءَاتَتۡ كُلَّ وَٰحِدَةٖ مِّنۡهُنَّ سِكِّينٗا وَقَالَتِ ٱخۡرُجۡ عَلَيۡهِنَّۖ فَلَمَّا رَأَيۡنَهُۥٓ أَكۡبَرۡنَهُۥ وَقَطَّعۡنَ أَيۡدِيَهُنَّ وَقُلۡنَ حَٰشَ لِلَّهِ مَا هَٰذَا بَشَرًا إِنۡ هَٰذَآ إِلَّا مَلَكٞ كَرِيمٞ ٣١
Usne jo unki yeh makkarana baatein suni to unko bulawa bhej diya aur unke liye takiya-daar majlis aarasta ki aur ziyafat mein har ek ke aagey ek ek churi (knife) rakh di . (Phir ain us waqt jabke woh phal kaat kaat kar kha rahi thi) usne Yusuf ko ishara kiya ke unke saamne nikal aa. Jab un auraton ki nigaah uspar padi to woh dangg reh gayi aur apne haath kaat baithi aur be- saakhta (spontaneously) pukar utthi “ haasha-lil-laah(God protect us), yeh shaks Insaan nahin hai, yeh to koi buzurg farishta hai”