Baadshah ne kaha usey mere paas lao. Magar jab shahi faristaada (royal envoy) Yusuf ke paas pahuncha to usne kaha “apne Rubb ke paas wapas ja aur ussey puch ke un auraton ka kya maamla hai jinhon ne apne haath kat liye thay? Mera Rubb to unki makkari se waqif hi hai.”