Yusuf ne apne ghulaamo ko ishara kiya ke “in logon ne galle ke evaz jo maal diya hai woh chupke se unke samaan hi mein rakhdo”. Yeh Yusuf ne is ummed par kiya ke ghar pahunch kar woh apna wapas paya hua maal pehchan jayenge (ya is fayyazi par ehsan-mand hongey) aur ajab nahin ke phir paltein