Abul Ala Maududi(Roman Urdu)

Ayah by Ayah

Tags

Download Links

A translation of every ayah of the Quran in Urdu.

Abul Ala Maududi(Roman Urdu) translation for Surah Yusuf — Ayah 66

12:66
قَالَ لَنۡ أُرۡسِلَهُۥ مَعَكُمۡ حَتَّىٰ تُؤۡتُونِ مَوۡثِقٗا مِّنَ ٱللَّهِ لَتَأۡتُنَّنِي بِهِۦٓ إِلَّآ أَن يُحَاطَ بِكُمۡۖ فَلَمَّآ ءَاتَوۡهُ مَوۡثِقَهُمۡ قَالَ ٱللَّهُ عَلَىٰ مَا نَقُولُ وَكِيلٞ ٦٦
Unke baap ne kaha “main isko hargiz tumhare saath na bhejunga jab tak ke tum Allah ke naam se mujhko paimaan (pledge) na de do ke isey mere paas zaroor wapas lekar aaogey, illa yeh ke kahin tum gher hi liye jao”. Jab unhon ne usko apne apne paiman de diye to usne kaha “dekho, hamare is qaul par Allah nigehbaan hai”