Abul Ala Maududi(Roman Urdu)

Ayah by Ayah

Tags

Download Links

A translation of every ayah of the Quran in Urdu.

Abul Ala Maududi(Roman Urdu) translation for Surah Yusuf — Ayah 76

12:76
فَبَدَأَ بِأَوۡعِيَتِهِمۡ قَبۡلَ وِعَآءِ أَخِيهِ ثُمَّ ٱسۡتَخۡرَجَهَا مِن وِعَآءِ أَخِيهِۚ كَذَٰلِكَ كِدۡنَا لِيُوسُفَۖ مَا كَانَ لِيَأۡخُذَ أَخَاهُ فِي دِينِ ٱلۡمَلِكِ إِلَّآ أَن يَشَآءَ ٱللَّهُۚ نَرۡفَعُ دَرَجَٰتٖ مَّن نَّشَآءُۗ وَفَوۡقَ كُلِّ ذِي عِلۡمٍ عَلِيمٞ ٧٦
Tab Yusuf ne apne bhai se pehle unki khurjhiyon (packs) ki talashi lena shuru ki. Phir apne bhai ki khurjhi (pack) se gumshuda cheez baramad karli. Is tarah humne Yusuf ki taeed (support) apni tadbeer se ki , uska yeh kaam na tha ke baadshah ke deen ( yani Misr ki shahi kanoon) mein apne bhai ko pakadta illa yeh ke Allah hi aisa chahe. Hum jiske darje chahte hain buland kardete hain, aur ek ilm rakhne wala aisa hai jo har sahib-e-ilam se balaa-tarr hai