Abul Ala Maududi(Roman Urdu)

Ayah by Ayah

Tags

Download Links

Abul Ala Maududi(Roman Urdu) translation for Surah Al-Fath — Ayah 10

48:10
إِنَّ ٱلَّذِينَ يُبَايِعُونَكَ إِنَّمَا يُبَايِعُونَ ٱللَّهَ يَدُ ٱللَّهِ فَوۡقَ أَيۡدِيهِمۡۚ فَمَن نَّكَثَ فَإِنَّمَا يَنكُثُ عَلَىٰ نَفۡسِهِۦۖ وَمَنۡ أَوۡفَىٰ بِمَا عَٰهَدَ عَلَيۡهُ ٱللَّهَ فَسَيُؤۡتِيهِ أَجۡرًا عَظِيمٗا ١٠
Aey Nabi, jo log tumse bayt kar rahe thay(pledge allegiance to you) woh dar asal Allah se bayt kar rahey thay. Unke haath par Allah ka haath tha. Ab jo is ahad ko todeyga uski ahad shikani ka wabal uski apni hi zaat par hoga, aur jo us ahad ko wafa karega jo usne Allah se kiya hai, Allah ankqareeb usko bada ajar ata farmayega