Abul Ala Maududi(Roman Urdu)

Ayah by Ayah

Tags

Download Links

A translation of every ayah of the Quran in Urdu.

Abul Ala Maududi(Roman Urdu) translation for Surah Al-An'am — Ayah 28

6:28
بَلۡ بَدَا لَهُم مَّا كَانُواْ يُخۡفُونَ مِن قَبۡلُۖ وَلَوۡ رُدُّواْ لَعَادُواْ لِمَا نُهُواْ عَنۡهُ وَإِنَّهُمۡ لَكَٰذِبُونَ ٢٨
Dar-haqeeqat yeh baat woh mehaz is wajah se kahenge ke jis haqeeqat par unhon ne purda daal rakkha tha woh us waqt be-naqaab hokar unke saamne aa chuki hogi, warna agar unhein sabiq zindagi ki taraf wapas bheja jaye to phir wahi sab kuch karein jissey unhein mana kiya gaya hai. Woh to hain hi jhoote ( isliye apni is khwahish ke izhar mein bhi jhoot hi se kaam lenge)