Abul Ala Maududi(Roman Urdu)

Ayah by Ayah

Tags

Download Links

A translation of every ayah of the Quran in Urdu.

Abul Ala Maududi(Roman Urdu) translation for Surah Al-A'raf — Ayah 150

7:150
وَلَمَّا رَجَعَ مُوسَىٰٓ إِلَىٰ قَوۡمِهِۦ غَضۡبَٰنَ أَسِفٗا قَالَ بِئۡسَمَا خَلَفۡتُمُونِي مِنۢ بَعۡدِيٓۖ أَعَجِلۡتُمۡ أَمۡرَ رَبِّكُمۡۖ وَأَلۡقَى ٱلۡأَلۡوَاحَ وَأَخَذَ بِرَأۡسِ أَخِيهِ يَجُرُّهُۥٓ إِلَيۡهِۚ قَالَ ٱبۡنَ أُمَّ إِنَّ ٱلۡقَوۡمَ ٱسۡتَضۡعَفُونِي وَكَادُواْ يَقۡتُلُونَنِي فَلَا تُشۡمِتۡ بِيَ ٱلۡأَعۡدَآءَ وَلَا تَجۡعَلۡنِي مَعَ ٱلۡقَوۡمِ ٱلظَّٰلِمِينَ ١٥٠
Udhar se Moosa gussey aur ranjj mein bhara hua apni qaum ki taraf palta. Aatey hi usne kaha “bahut buri jaanashini ki tum logon ne mere baad! Kya tumse itna sabr na hua ke apne Rubb ke hukum ka intezar kar letey?” Aur takhtiyan phenk di aur apne bhai (Haroon) ke sar ke baal pakad kar usey khincha. Haroon ne kaha “aey meri Maa ke bete, in logon ne mujhey daba liya aur qareeb tha ke mujhey maar daalte. Pas tu dushmano ko mujhpar hassne ka mauqa na de aur is zalim giroh ke saath mujhey na shamil kar”