Abul Ala Maududi(Roman Urdu)

Ayah by Ayah

Tags

Download Links

A translation of every ayah of the Quran in Urdu.

Abul Ala Maududi(Roman Urdu) translation for Surah Yusuf — Ayah 100

12:100
وَرَفَعَ أَبَوَيۡهِ عَلَى ٱلۡعَرۡشِ وَخَرُّواْ لَهُۥ سُجَّدٗاۖ وَقَالَ يَٰٓأَبَتِ هَٰذَا تَأۡوِيلُ رُءۡيَٰيَ مِن قَبۡلُ قَدۡ جَعَلَهَا رَبِّي حَقّٗاۖ وَقَدۡ أَحۡسَنَ بِيٓ إِذۡ أَخۡرَجَنِي مِنَ ٱلسِّجۡنِ وَجَآءَ بِكُم مِّنَ ٱلۡبَدۡوِ مِنۢ بَعۡدِ أَن نَّزَغَ ٱلشَّيۡطَٰنُ بَيۡنِي وَبَيۡنَ إِخۡوَتِيٓۚ إِنَّ رَبِّي لَطِيفٞ لِّمَا يَشَآءُۚ إِنَّهُۥ هُوَ ٱلۡعَلِيمُ ٱلۡحَكِيمُ ١٠٠
(Shehar mein daakhil honay ke baad) usne apne walidain ko utha kar apne paas takht par bithaya aur sab uske aage be ikhtiyar sajde mein jhuk gaye. Yusuf ne kaha “abbajaan, yeh tabeer hai mere us khwab ki jo maine pehle dekha tha, mere Rubb ne usey haqeeqat bana diya. Uska ehsan hai ke usne mujhey qaid-khane se nikala aur aap logon ko sehra se laakar mujhse milaya, halanke shaytan mere aur mere bhaiyon ke darmiyan fasaad daal chuka tha. Waqiya yeh hai ke mera Rubb gair mehsoos tadbeeron (mysterious ways) se apni mashiyat puri karta hai, beshak woh aleem aur hakeem hai